Mera Desh Ro Raha Hai Lyrics [Amitabh, Prasoon, SEL]


This poem was written by Prasoon Joshi for the Uttarakhand support program run on TV by Star group. Here he talks about our 'moving on' attitude, and asks whether we're actually giving enough strength to the downtrodden or just saying move on to avoid them.

The poem was recited by Amitabh Bachchan and simultaneously sung in parts by Shankar Mahadevan with Ehsaan and Loy.

For the translation of the entire poem, you can check THIS POST.

Dekho zaraa theher ke
mera desh ro rahaa hai
Ghayal hai man kaa konaa
mera desh ro raha hai
mera desh.. mera desh..

Parvat sa oonchaa maatha
par chot ke nishaan hain
nadiyon ke geet chup hain,
khaamosh har zubaan hai
har aankh poochhti hai
kya mera rona dekha
har chehra poochhta hai
kya mera kona dekha

zara badh ke haath thaamo
Vishwas kho raha hai
dekho zara theher ke,
mera desh ro raha hai..

har dil yoon chhalakta hai
nainitaal ho gaya
dekho to kitna zakhm
garhwal ho gaya hai
mere desh ka ek hissa,
bade dard mein hai yaaron,
hamein fikr hai to aisa,
kyun haal ho gaya hai

Kyun koi yoon akele
palkein bhigo raha hai
dekho zara theher ke,
mera desh ro raha hai..

bada naaz is pe humko
rukte kabhi nahi hum,
vipada badi ho kitni,
jhukte kabhi nahin hum,
hum mein hai shakti ya phir
parwaah hi nahi hai
khud mein magan hain itne,
thamte kabhi nahi hum..

jazba ye zindagi ka
sawaal ho raha hai
dekho zara theher ke
mera desh ro raha hai..
mera desh mera desh mera desh..

santaan soorya ki hum,
deepak to naam ke hain
jal padein jo sang sang
phir kitne kaam ke hain..
taandav na raat ka ho
hum jyoti rath hain laaye
ab roshni hogi,
hum le shapath hain aaye

jo dard desh ko hai
hum sab ko ho raha hai
dekho zara theher ke
mera desh ro raha hai
mera desh ro raha hai

Mera Desh Ro Raha Hai Lyrics [Amitabh, Prasoon, SEL] Mera Desh Ro Raha Hai Lyrics [Amitabh, Prasoon, SEL] Reviewed by jose basques on 8/15/2013 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.